Ik din kismat jaag gai, wo shaam ko i khaitoun mein
Main ne oska pecha kia, or aankh larai khaitoun mein
Ooper se ik baans liye oska bhai b ah gya khaitoun mein
Daikhtay hi daikhtay ho gai apni khob kutaai khaitoun mein
Jab rouh meri parwaz k liye take-off hi karney wali thi
Os harjaai ne bhaag kar meri, jaan bachai khaitoun mein
Baandh gya ik darakht se mujko wo zalim zamaney ka
Pouch na kaisay December ki wo, raat bitaai khaitoun mein
Haddi pasli touti to meray zameer ne mujse kiya sawal
Kya waja hai jo tuj ko ulfat, raas na i khaitoun mein
Kuch din bahd wo ghar i or sharma kr youn mujse boli
Kya baat hai nzar nahi atay ap, ab Haroon bhai khaitoun mein
(My own creation)